ग़ालिब की शायरी : मिर्ज़ा ग़ालिब उर्दू के एक महान शायर है इनका जन्म 17 दिसम्बर 1796 में आगरा में हुआ था इनका नाम भी आज के जमाने में काफी लोकप्रिय है उर्दू के अलावा ये फ़ारसी भषा ,इ नजो शायर करते थे तो आज हम आपको ग़ालिब के द्वारा कही गयी कुछ दिल छूने वाली शायरी से अवगत करते है जो की कई महान उर्दू के शायरों जैसे आनिस मोईन और अब्दुल हामिद अदम जैसे शायरों से भी बढ़ कर मानी जाती है | इसके अलावा हम आपको बताते है उनके दो लाइन के शेर जो की प्रेरणादायक है |
यहाँ भी देखे : Wasim Barelvi Shayari
Ghalib ki Shayari in Hindi Fonts
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā है
aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki ‘ġhālib’ kā hai andāz-e-bayāñ aur
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko ‘ġhālib’ ye ḳhayāl achchhā hai
यहाँ भी देखे : Wasi Shah Shayari
Ghalib Shayari in Urdu
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
kaaba kis muñh se jāoge ‘ġhālib’
sharm tum ko magar nahīñ aatī
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza ‘ġhālib’ aur kahāñ vaa.iz
par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle
Mirza Ghalib Sad Shayari in Hindi
koī mere dil se pūchhe tire tiir-e-niim-kash ko
ye ḳhalish kahāñ se hotī jo jigar ke paar hotā
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā
usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
na thā kuchh to ḳhudā thā kuchh na hotā to ḳhudā hotā
Duboyā mujh ko hone ne na hotā maiñ to kyā hotā
qarz kī piite the mai lekin samajhte the ki haañ
rañg lāvegī hamārī faaqa-mastī ek din
यहाँ भी देखे : Hafeez Jalandhari Shayari
Mirza Ghalib Shayari in Hindi 2 Lines
rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj
mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ
ragoñ meñ dauḌte phirne ke ham nahīñ qaa.il
jab aañkh hī se na Tapkā to phir lahū kyā hai
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho ‘ġhālib’
kahte haiñ agle zamāne meñ koī ‘mīr’ bhī thā
un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq
vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
You have also Searched for :
mirza ghalib shayari in hindi pdf download
shayari of ghalib on ishq
ghalib shayari collection
ghalib shayari on sharab
Contents
