शायरी (Shayari)

Ada Jafri Shayari

अदा जाफरी शायरी : अदा जाफरी एक पाकिस्तानी और उर्दू शायर है इनका जन्म 1924 में हुआ है उन्होंने अपने जीवन में एक प्रसिद्ध उर्दू कवयित्री के रूप में ख्याति प्राप्त की है इनकी मृत्यु सन 2015 में हुई | तो आज हम आपको उन्ही के द्वारा कही गयी कुछ दिल छूने वाली शायरी से अवगत करते है जो की कई महान उर्दू के शायरों जैसे आनिस मोईन और अब्दुल हामिद अदम जैसे शायरों से भी बढ़ कर मानी जाती है | इसके अलावा हम आपको बताते है उनके दो लाइन के शेर जो की प्रेरणादायक है |

यह भी देखे : कुमार विश्वास शायरी

Ada Jafri 2 Line Poetry

अदा जाफरी 2 लाइन पोएट्री : अगर आप अदा जाफरी जैसे महान शायरों की शायरियां जानना चाहे तो आप हमारे इस पोस्ट को पढ़ सकते है जिससे की आपको काफी लव शायरी मिलती है :

aa dekh ki mere āñsuoñ meñ
ye kis kā jamāl aa gayā hai

abhī sahīfa-e-jaañ par raqam bhī kyā hogā
abhī to yaad bhī be-sāḳhta nahīñ aa.ī

agar sach itnā zālim hai to ham se jhuuT hī bolo
hameñ aatā hai patjhaḌ ke dinoñ gul-baar ho jaanā

baḌe tābāñ baḌe raushan sitāre TuuT jaate haiñ
sahar kī raah taknā tā sahar āsāñ nahīñ hotā

bas ek baar manāyā thā jashn-e-mahrūmī
phir us ke baad koī ibtilā nahīñ aa.ī

bolte haiñ diloñ ke sannāTe
shor sā ye jo chaar-sū hai abhī

dil ke vīrāne meñ ghūme to bhaTak jāoge
raunaq-e-kūcha-o-bāzār se aage na baḌho

ek ā.īna rū-ba-rū hai abhī
us kī ḳhushbū se guftugū hai abhī

यह भी देखे : Gulzar Poetry

Ada Jafri 2 Line Poetry

Ada Jafri Poetry Images

अदा जाफरी पोएट्री इमेजेज : यहाँ आपको मिलती है जाफरी जी की पोएट्री वो भी उनकी इमेजेज के साथ तो जानिए यहाँ से उनकी ख़ास मशहूर शायरियां :

gul par kyā kuchh biit ga.ī hai
albelā jhoñkā kyā jaane

hamāre shahr ke logoñ kā ab ahvāl itnā hai
kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā

hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam hī aa.e
aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām hī aa.e

jis kī bātoñ ke fasāne likkhe
us ne to kuchh na kahā thā shāyad

jis kī jānib ‘adā’ nazar na uThī
haal us kā bhī mere haal sā thā

jo charāġh saare bujhā chuke unheñ intizār kahāñ rahā
ye sukūñ kā daur-e-shadīd hai koī be-qarār kahāñ rahā

यह भी देखे : Javed Akhtar Shayari

Ada Jafri Books

अदा जाफरी बुक्स : अदा जाफरी की बायोग्राफी सम्बंधित बुक्स से आप यहाँ से जान सकते है जिसमे की कुछ मज़ेदार और हिंदी में शायरी भी मिलती है :

jo dil meñ thī nigāh sī nigāh meñ kiran sī thī
vo dāstāñ ulajh ga.ī vazāhatoñ ke darmiyāñ

kāñTā sā jo chubhā thā vo lau de gayā hai kyā
ghultā huā lahū meñ ye ḳhurshīd sā hai kyā

kaTtā kahāñ tavīl thā rātoñ kā silsila
sūraj mirī nigāh kī sachchā.iyoñ meñ thā

ḳhāmushī se huī fuġhāñ se huī
ibtidā rañj kī kahāñ se huī

koī taa.ir idhar nahīñ aatā
kaisī taqsīr is makāñ se huī

log be-mehr na hote hoñge
vahm sā dil ko huā thā shāyad

You have also Searched for :

ada jafri books pdf
ada jafri biography in urdu
ada jafri death
ada jafri poetry pdf
ada jafri date of death

Contents

Click to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Most Popular

you can contact us on my email id: harshittandon15@gmail.com

Copyright © 2016 कैसेकरे.भारत. Bharat Swabhiman ka Sankalp!

To Top