अब्दुल हमीद अदम शायरी : अब्दुल हामिद एक पाकिस्तानी उर्दू के शायर थे जिनका जन्म 1910 में हुआ था इन्होंने अपने जीवनकाल में एक लेखक और कवि के रूप में प्रसिद्धि प्राप्त की है इनकी मृत्यु 1981 में हुई तो हम आपको बताते है अब्दुल हमीद जी द्वारा लिखी गयी कुछ दिल छूने वाली शायरी जो की अनेक उर्दू के शायर जैसे आनिस मोईन और जावेद अख्तर जैसे शायरों को भी टक्कर देते है तो आप जानिए अब्दुल हमीद जी द्वारा किये गए दो लाइन के शेर जो की काफी प्रेरणादायक भी है और अगर आप लव संबंधी शायरियां जानना चाहे तो आप हमारे इस शायरियो के माध्यम से भी जान सकते है |
यह भी देखे : कुमार विश्वास शायरी
Abdul Hameed Adam Poetry In Urdu
अब्दुल हमीद अदम पोएट्री इन उर्दू : उर्दू में शायरी जानने के लिए आप पढ़िए हमारी इन शायरियो को जिनके माध्यम से आप जान सकते है अनेक उर्दू की शायरियां :
aañkh kā e’tibār kyā karte
jo bhī dekhā vo ḳhvāb meñ dekhā
āñkhoñ se pilāte raho sāġhar meñ na Daalo
ab ham se koī jaam uThāyā nahīñ jaatā
aap ik zahmat-e-nazar to kareñ
kaun behosh ho nahīñ saktā
‘adam’ roz-e-ajal jab qismateñ taqsīm hotī thiiñ
muqaddar kī jagah maiñ sāġhar-o-miinā uThā laayā
ai dost mohabbat ke sadme tanhā hī uThāne paḌte haiñ
rahbar to faqat is raste meñ do gaam sahārā dete haiñ
यह भी देखे : शायरी खूबसूरती पर
Abdul Hameed Adam Ghazals
अब्दुल हमीद अदम ग़ज़ल : अब्दुल हमीद की कुछ गजल जिनसे की आप जान सकते है उनकी प्रेरणादायक शायरियां और आज ही शेयर कर सकते है अपने दोस्तों को :
ai ġham-e-zindagī na ho nārāz
mujh ko aadat hai muskurāne kī
aur to dil ko nahīñ hai koī taklīf ‘adam’
haañ zarā nabz kisī vaqt Thahar jaatī hai
ba.az auqāt kisī aur ke milne se ‘adam’
apnī hastī se mulāqāt bhī ho jaatī hai
baḌh ke tūfān ko āġhosh meñ le le apnī
Dūbne vaale tire haath se sāhil to gayā
bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar ‘adam’
bārish ke sab hurūf ko ulTā ke pī gayā
Abdul Hameed Adam Ki Shayari
अब्दुल हमीद अदम की शायरी : यदि आप मशहूर शायर अब्दुल हमीद की शायरियां जानना चाहे तो आप हमारे माध्यम से जान सकते है :
bole koī hañs kar to chhiḌak dete haiñ jaañ bhī
lekin koī rūThe to manāyā nahīñ jaatā
chhoḌā nahīñ ḳhudī ko dauḌe ḳhudā ke pīchhe
āsāñ ko chhoḌ bande mushkil ko DhūñDte haiñ
daroġh ke imtihāñ-kade meñ sadā yahī kārobār hogā
jo baḌh ke tā.īd-e-haq karegā vahī sazāvār-e-daar hogā
dekhā hai kis nigāh se tū ne sitam-zarīf
mahsūs ho rahā hai maiñ ġharq-e-sharāb huuñ
dil abhī puurī tarah TuuTā nahīñ
dostoñ kī mehrbānī chāhiye
यह भी देखे : उत्साहवर्धक शायरी
Urdu Shayari Adam
उर्दू शायरी अदम : उर्दू की शायरी हिंदी के फॉण्ट में आपको मिलती है केवल हमरी इस पोस्ट में जिसमे की आप पा सकते है बेहतरीन शायरियो का खजाना :
dil ḳhush huā hai masjid-e-vīrāñ ko dekh kar
merī tarah ḳhudā kā bhī ḳhāna ḳharāb hai
girte haiñ log garmi-e-bāzār dekh kar
sarkār dekh kar mirī sarkār dekh kar
guloñ ko khil ke murjhānā paḌā hai
tabassum kī sazā kitnī baḌī hai
haath se kho na baiThnā us ko
itnī ḳhuddāriyāñ nahīñ achchhī
had se baḌh kar hasīn lagte ho
jhūTī qasmeñ zarūr khāyā karo
You have also Searched for :
abdul hameed adam poetry books pdf
abdul hameed adam poetry facebook
kulliyat e adam pdf
abdul hameed adam poetry books pdf free download
Contents
